Dec 26, 2016

nani

#poetry

Shaam hui, tere kaam ki
Teri manzil aa gayi
Nuks tere gum gaye
Dard tere tham gaye
Raat teri aa gayi

Muskurahat chhod gayi
Barso ke karmon mein tu
Dheere dheere pyaar se jo
Waqt se bhi lad gayi

Usne jo rastaa dikhaya
Uspe has ke chal gayi
Kaanto ko bhi pyaar de kar
Mishri ki mitthaas di

Humse door ho sahi
Aaj bicchdon se tu mil
Aas teri hum jalaayen
Tera nagma hum sunaayein
Teri seva bas hui.


Extended on 12/26/2017

Ek pal ke baad bhi tu
Hum mein shaamil hai kahin
Betiyon ki saadgi mein
Shayad jaise phas gayi

Chaahe to tu rok le
Duniya se taaluk sabhi
Duniya tujh se rus na paaye
Sau peedhi tak tu hai yahin.

If you like this post, please share it on Twitter and/or subscribe to my RSS feed. Or don't, that's also ok.